bebasi zindagi ki aas mein hai kya bataun ki kya gilas mein hai zakhm yaadon ke khun ummidon ka jaane kya kya dil-e-udas mein hai aaj kis zahar se bharun is ko wo samundar jo meri pyas mein hai dhak sake jo kisi gharib ka tan phul aisa koi kapas mein hai khud khizan puchhti hai rah rah kar fasl-e-gul aaj kis libas mein hai