teri surat se aashna hun main yun hi pagal nahin hua hun main dam-ba-dam mujh ko aazmate ho ek duniya mein kya bacha hun main ajnabi hai wo khub-ru lekin lag raha hai ki jaanta hun main nag dasta to mar na jata main hae is zulf ka dasa hun main teri duniya mein kyon rahun ab jab teri mahfil se uth chuka hun main chhachh khushiyon ki pi nahin sakta ishq ke dudh ka jala hun main meri fariyaad sun nahin sakte aur dawa hai ki khuda hun main teri dahliz par qadam roke jaane kis soch mein khada hun main dil se nazdik yar se 'shahid' dur ho kar bhi kab juda hun main