bechain hun khunaba-fishani mein ghira hun bhige hue lafzon ke maani mein ghira hun jo ped pakadta hun ukhad jata hai jad se sailab ke dhaare ki rawani mein ghira hun mafhum ka sahil to nazar aata hai lekin main der se gardab-e-maani mein ghira hun ab log sunate hain mujhe mere hi qisse main phail ke apni hi kahani mein ghira hun amboh-e-mah-o-sal ka kya bar uthega thahre hue lamhe ki girani mein ghira hun jis shakhs ko chaha hai usi shakhs ke karan 'zulfi' main kisi karb-e-bayani mein ghira hun