nafe hai kuchh to wo kisi faizan hi ka hai warna talluqa mera nuqsan hi ka hai kulfat hai sab ki sab ye tawaqqo ke nam ki jo bhi kiya dhara hai ye imkan hi ka hai mal-o-manal dast-gah-e-hadsat ka rahte hain gar bahaal to ausan hi ka hai manzar wo hai ki jo kabhi shashdar na kar sake hairat ye hai ki dida-e-hairan hi ka hai ilzam khud hun main yahan hasti ke nam par mera wajud asl mein bohtan hi ka hai tafsil mein to simta hua hi tha inkisar ijmal bhi ye ijz ke unwan hi ka hai aakhir ayan hua ki marasim ki zail mein asbab-e-dil-shikastagi paiman hi ka hai jab tak ba-dosh rahta hai rahta hun gamzan mera safar haqiqatan saman hi ka hai utre wo naw-e-shauq se ho dubna jise sahil mizaj-e-bahr ka tufan hi ka hai aawargan ke waste kirdar dasht ka anjam-kar hita-e-zindan hi ka hai ja-e-panah us ki koi dusri nahin 'khawar' kahin ka hai to bayaban hi ka hai