bedad-e-taghaful se to badhta nahin gham aur mere liye sikho koi andaz-e-sitam aur maghmum to donon hain magar farq hai itna un ko koi gham aur hai mujh ko koi gham aur zahir mein jafaon pe wo sharminda hain lekin nazren yahi kahti hain abhi honge sitam aur har baat mein karte ho jo tafriq man-o-tu is ka to ye matlab hua tum aur ho hum aur