hangama-e-afat idhar bhi hai udhar bhi barbaadi-e-haalat idhar bhi hai udhar bhi honton pe tabassum kabhi palkon pe sitare ye dil ki karamat idhar bhi hai udhar bhi bechain agar main hun to wo bhi hain pareshan dar-parda koi baat idhar bhi hai udhar bhi aashuftagi-e-qalb-o-nazar chhup na sakegi ek mahshar-e-jazbaat idhar bhi hai udhar bhi har chand takalluf hai mulaqat mein lekin arman-e-mulaqat idhar bhi hai udhar bhi mujrim kise gardaniye kahiye kise masum ek sail-e-shikayat idhar bhi hai udhar bhi kyunkar kabhi niklegi koi sulh ki surat ek talkhi-e-jazbaat idhar bhi hai udhar bhi un ko bhi koi ranj hai mujh ko bhi koi gham ek fikr si din raat idhar bhi hai udhar bhi afsos bhari bazm mein bhi mil nahin sakte kuchh pas-e-riwayat idhar bhi hai udhar bhi jo tark-e-talluq pe bhi jati nahin dil se wo dil ki lagi baat idhar bhi hai udhar bhi nale bhi sharar-bar hain naghme bhi sharar-bar ek aatish-e-jazbaat idhar bhi hai udhar bhi 'akhgar' hi ka daman nahin namnak shab-e-gham aankhon ki ye barsat idhar bhi hai udhar bhi