bedad ka lab par mere shikwa nahin hota fariyaad se zakhmon ka mudawa nahin hota yun ghur ke diwar ko kyon dekh rahe ho diwar pe taqdir ka likkha nahin hota yun aaj mujhe panw se thukraati na duniya duniya ko agar tut ke chaha nahin hota ungli ke ishaare pe jo hum nach rahe hain kis roz madari ka tamasha nahin hota har chaar taraf khak pe bikhre hue hote tasbih ke danon mein jo rishta nahin hota jis qaum ko imroz ka idrak nahin ho us qaum ko andaza-e-farda nahin hota 'manzar' tapish-e-reg mein kya dhund rahe ho sahra ki kadi dhup mein saya nahin hota