hai phaili chaar-su ye tirgi kya jo shama-e-arzu thi bujh gai kya banana aur bana kar tod dena junun-angez hai shishagari kya main apna aap dushman ho gaya hun karega ab koi chaaragari kya khafa mujh se jo meri zindagi hai ajal ko bhi hai kam naraazgi kya na jaane aaj kyon lutne ka gham hai koi daulat hamare pas thi kya gulon tak aa hi pahuncha dast-e-gul-chin chaman ki aabru baqi rahi kya pata jis ko mila tera wo gham hai kamal-e-agahi hai be-khudi kya yahan to aag si dil mein lagi hai lagi dil ki hai koi dil-lagi kya takabbur se kisi ko kya mila hai habab-e-bahr ki dariya-dili kya na ras aaegi 'manzar' sher-goi ki tum kya aur tumhaari shaeri kya