bedar ki nigah mein kal aur aaj kya lamhon se be-niyaz ka koi ilaj kya qadren bhatak rahi hain abhi khandaraat mein hum ahd-e-irtiqa se wasulen khiraj kya har zehn be-lagam hai har fikr be-qayas aazad nasl-o-qaum ke rasm-o-riwaj kya kis ko wahan pe kijiye tafriq-ashna jis ka jahan lagao na ho ehtijaj kya zinda ho jab zamir to lazim hai ehtiyat palkon ki chhawni mein nigahon ki laj kya koi bhi rut ho bhuk ki faslen ugaiye hum int bo rahe hain to paen anaj kya mausam ko chahiye na meri pairwi kare 'shaiq' asir-e-dard ka apna mizaj kya