chand-suraj na sahi ek diya hun main bhi apne tarik makanon mein jala hun main bhi apne aslaf ki azmat se juda hun main bhi apni tahzib ki mutthi mein daba hun main bhi tum bhi girti hui diwar ko kandha de do apne pairon pe isi tarah khada hun main bhi meri khamoshi-e-lab ka hai sada se rishta ye na samjhe koi be-saut-o-sada hun main bhi koi dhunde mere chehre pe thakan ke aasar waqt ke sath to ek umr chala hun main bhi jaane kab kis ke sanwarne ka irada jage is liye surat-e-aina raha hun main bhi jhuk ke milne ki azal hi se hai fitrat 'shaiq' garche sar-basta-e-dastar-e-ana hun main bhi