'bedil' ka takhayyul hun na ghaalib ki nawa hun is qafila-e-rafta ka naqsh-e-kaf-e-pa hun raqsan hai charaghan-e-tamanna mere harsu wo raushaniyan hain ki main sae se juda hun jab dasht-e-alam se koi jhonka kabhi aaya main lala-e-khud-raw ki tarah aur khila hun zulmat-aman bhi hun ujalon ka amin bhi main subh ke tare ki tarah dub raha hun aflak-rasi se bhi talafi nahin hoti kis azm ki an-dekhi chatanon se gira hun har aks-e-muqabil se numayan hai mera naqsh duniya mein hun ya aaina-khane mein khada hun mahdud hai kyun hadd-e-talab tak meri parwaz main mauj-e-saba ho ke bhi zanjir-ba-pa hun idrak ke shoalon ka chaman hai mera aahang main barg-e-khizan ho ke bhi gulzar-numa hun ehsas ke ghunchon ki chatak hai meri aawaz main sina-e-afaq mein dhadkan ki sada hun har chand ki nas nas mein nihan barq-e-tapan hai khul kar bhi barasta hun ki ghanghor ghata hun ek ek kiran mein tere sau rang nazar aae jab pichhle pahar chand ke hamrah chala hun ek naghma-e-rangin hun lab-e-saz-e-mizha par 'sadiq' jaras-e-ghuncha hun taswir-e-sada hun
Please share if you liked this!!!