begana bana deta hai andaz-e-bayan aur ho samna un ka to bahakti hai zaban aur tez aag hui jati hai ai soz-e-nihan aur aansu jo tapakte hain to uthta hai dhuan aur ai ruh na ho jae kahin jism-e-giran aur ghabrae musafir to badalta hai makan aur jab dubte taron se ulajh jati hain aahen chha jata hai mahfil pe charaghon ka dhuan aur kis tarah se yaksan hon mohabbat ke taqaze parwanon ke dil aur hain shamon ki zaban aur