is kamre mein khwab rakhe the kaun yahan par aaya tha gum-sum raushan-dano bolo kya tum ne kuchh dekha tha andhe ghar mein har jaanib se bad-ruhon ki yurish thi bijli jalne se pahle tak wo sab thin main tanha tha mujh se chauthi bench ke upar kal shab jo do sae the jaane kyun aisa lagta hai ek tere sae sa tha suraj uncha ho kar mere aangan mein bhi aaya hai pahle nicha tha to unche minaron par baitha tha mazi ki nili chhatri par yaadon ke angare the khwahish ke pile patton par girne ka dar baitha tha dil ne ghanton ki dhadkan lamhon mein puri kar dali waise anjaani ladki ne bas ka time puchha tha