begangi ka abr-e-giran-e-bar khul gaya shab main ne us ko chheda to wo yar khul gaya galiyon mein sham hote hi nikle hasin log har rahguzar pe tabla-e-attar khul gaya hum ne chhupaya lakh magar chhup nahin saka anjam-e-kar raaz-e-dil-e-zar khul gaya tha ishrat-e-shabana ki sarmastiyon mein band baad-e-sahar se dida-e-gulbar khul gaya aaya wo baam par to kuchh aisa laga 'munir' jaise falak pe rang ka bazar khul gaya