pahuncha hai aaj qais ka yan silsila mujhe

pahuncha hai aaj qais ka yan silsila mujhe
jangal ki ras kyun na ho aab-o-hawa mujhe

aana agar tera nahin hota hai mere ghar
daulat-sara mein apne hi ek din bula mujhe

wo howe aur main hun aur ek kunj-e-afiyat
is se ziyaada chahiye phir aur kya mujhe

paida kiya hai jab se ki main rabt-e-ishq se
begana jaanta hai har ek aashna mujhe

kafir buton ki rah na ja aa khuda ko man
pir-e-khird ne garche kaha bar-ha mujhe

par kya karun ki dil hi nahin ikhtiyar mein
us khanuma-kharab ne aajiz kiya mujhe

pahle hi apne dil ko na dena tha us ke hath
'iman' ab to koi padi hai wafa mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close