behtar ki gunjaish baqi rah jati hai kami kahin poshida koi rah jati hai man-chahi taswir banane mein mujh se hunar-wari mein kuchh kotahi rah jati hai sailab aa jaane par us basti ki sari pukhta-kari kachchi rah jati hai banne wali baat wahi hoti hai wo jo bante bante yaksar banti rah jati hai rah jati hai aate aate aati saat honi hote hote hoti rah jati hai waqt guzar jata hai lekin dil ki ranjish dil mein baithi ki baithi hi rah jati hai chalte rah jate hain roz o shab ke dhande ganga ulti sidhi bahti rah jati hai phank liye jaane ko khak masafat ki rahon par hi chhani-phatki rah jati hai aa jati hai birha aur dulhniyan chhat par apne gile baal sukhati rah jati hai