aazad ho chuka koi zanjir ho chuka yani dayar-e-khwab bhi taskhir ho chuka parina ho chuki hai bahut dastan-e-ishq ek shahr-e-dasht najd mein tamir ho chuka barbaad kar chuka hun bahut kuchh ba-nam-e-khwesh aur jo bacha tha ghair ki jagir ho chuka kya waqt aa gaya hai meri nasl par ki ab mera adu bhi sahab-e-tauqir ho chuka saiqal kiya hai main ne ise apne khun se kis darja saf ab rukh-e-shamshir ho chuka kaisi badal ke rah gai hai meri kaenat wo khush-mizaj phul bhi dil-gir ho chuka 'sajid' nigah daliye ab ird-gard bhi zikr-e-rumuz rang-e-asatir ho chuka