behtar nahin raha kabhi kamtar nahin raha main zist mein kisi ke barabar nahin raha dasht-e-firaq dhup ghazab ki safar nasib saya bhi us ki yaad ka sar par nahin raha is ahd-e-sakht-gir mein ye chhut hai bahut bahar phira hai tu kabhi andar nahin raha aazad ho gaya hun hukumat ki qaid se is mulk mein mera koi daftar nahin raha main hun fida-e-sunnat-e-mansur 'aftab' sadiq nahin raha kabhi jafar nahin raha