charagh-e-nur thame dasht se jugnu nikal aae palat kar dekh len shayad koi pahlu nikal aae tumhaare hijr mein pathra gai hai aankh sawan ki milo hum se ki yun shayad koi aansu nikal aae hama-tan raqs rahta hun yahi main soch ke shayad tamanna-soz sahra se koi aahu nikal aae ye ku-e-yar hai koi karishma ho bhi sakta hai agar is habs mein us samt se khushbu nikal aae jakad rakha hai pure zor se kis ne shikanje mein mujhe lagta hai teri yaad ke bazu nikal aae anaen tark karne ka safi' bas ek rasta hai idhar se main agar niklun udhar se tu nikal aae