beja hai rah-e-ishq mein ai dil gila-e-pa ye aur hi manzil hai nahin marhala-e-pa hangam-e-khiram us ke hujum-e-dil-e-ushshaq ghash-karda hain thokar ke bahar-fasla-e-pa kal bosa-e-pa hum ne liya tha so na aaya shayad ki wo bosa hi hua aabla-e-pa us pa ki rah-e-rashk mein nazuk qadmon ke phirte hain bhatakte hue sau qafila-e-pa sau naz se thokar ba-sar-e-arsh lagana us gul ke siwa kis ka hai ye hausla-e-pa gul-barg pe rakhte hi qadam hans ke jo khincha shayad hui sakhti se rag-e-gul khila-e-pa dil se rah-e-dil-bastagi kab tai ho 'nazir' aah wo zulf-e-musalsal jo na ho silsila-e-pa