jo husn-o-ishq se amn-o-aman mein rahte hain kahan ke log hain wo kis jahan mein rahte hain kalam-e-pak mein hai zikr-e-hazrat-e-yusuf ye husn-o-ishq har ek dastan mein rahte hain ilahi ab se hasinon ko mehrban bana ki tere bande unhin ki aman mein rahte hain tumhin to ho wo jo dard-o-alam mein rakhte ho hamin to hain wo jo aah-o-fughan mein rahte hain mujhe to aap se matlab hai chand suraj kaun wo un ko chahenge jo aasman mein rahte hain kidhar kidhar ke chale aate hain ye be-wahdat kahan kahan ke tumhaare makan mein rahte hain umid ranj alam zabt dard sabr qalaq ye sab hamare dil-e-na-tawan mein rahte hain hazaron kaam hain aise bhi dekh ai ghafil ki baad marg bhi log is jahan mein rahte hain khuda samajh le lagane bujhane walon ko ye khwah-makhwah yahan mein wahan mein rahte hain ishaare aap ki abru ke koi kya jaane ki kitne zahr ke tir is kaman mein rahte hain hamari khas taraqqi hai khana-virani kabhi makan mein the ab la-makan mein rahte hain agar samajh hai to dil de ke lutf-e-zist utha hazar faede us ek ziyan mein rahte hain khayal-e-dost mein rahte hain ai safi' jab tak to is jahan mein na hum us jahan mein rahte hain