bekar ye ghussa hai kyun us ki taraf dekho aaine ki hasti kya tum apni taraf dekho mahdud hai nazzara jab hain yahi do-alam ya apni taraf dekho ya meri taraf dekho milne se nigahon ke kya faeda hota hai ye baat main samjha dun tum meri taraf dekho munh pher liya sab ne bimar ko jab dekha dekha nahin jata wo tum jis ki taraf dekho manzur 'aziz' us ka irfan jo hai tum ko dekho na kisi jaanib apni hi taraf dekho