bhadak utthenge shoale ek din duniya ki mahfil mein kahan tak jazb hongi bijliyan sabr-azma dil mein lahu rone lagenge saz-e-ishrat chhedne wale are ye dard aawaz-e-shikast-e-shisha-e-dil mein ye chhinten khun ki kafi hain mere bakhshawane ko nazar aati hai jannat wusat-e-daman-e-qatil mein abad tak kaukab-e-bakht-e-saadat ban ke chamkenge hue hain jazb jo qatre lahu ke tegh-e-qatil mein junun-e-be-sar-o-saman ki zinat dekhne wale mabaada farq aae ishq ki tadbir-e-manzil mein hazaron sal soz-e-dil ne ki thi dozakh-ashami qadam rakhte hi mere lag gai ek aag mahfil mein magar bhule nahin ho yaad ab tak 'abr-o-'hamid' ki 'aziz' aakhir wo quwwat kyun nahin baqi rahi dil mein