betab hamara zauq-e-nazar gar un ke muqabil aa jae

'betab' hamara zauq-e-nazar gar un ke muqabil aa jae
wo parda-nashin hon mahmil mein to samne mahmil aa jae

main rah-e-talab mein sargardan is aas pe yan tak pahuncha hun
is gam pe manzil aa jae us gam pe manzil aa jae

ai katib-e-qismat ye to bata kya ye hi hai taqdir meri
ek mushkil se chhutkara ho to dusri mushkil aa jae

yun pyar bhari nazron se mujhe dekho na khudara baz aao
ilzam na dena phir mujh ko gar tum pe mera dil aa jae

'betab' ye koi jina hai hum jaise gham ke maron ka
har lamha yahi ek khatra rahe kab jaane qatil aa jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close