meri dastan-e-alam to sun koi zalzala nahin aaega

meri dastan-e-alam to sun koi zalzala nahin aaega
mera muddaa nahin aaega tera tazkira nahin aaega

meri zindagi ke alang mein kai ghatiyan kai mod hain
teri wapsi bhi hui agar tujhe rasta nahin aaega

agar aae din teri rah mein teri khoj mein teri chah mein
yunhi qafile jo luta kiye koi qafila nahin aaega

agar aae dasht mein jhil to mujhe ehtiyat se phenkna
ki main barg-e-khushk hun dosto mujhe dubna nahin aaega

meri umr bhar ki barahnagi mujhe chhod de mere haal par
ye jo aks hai mera ham-safar mujhe odhna nahin aaega

kahin intiha ki malamaten kahin pattharon se ati chhaten
tere shahr mein mere baad ab koi sar-phira nahin aaega

koi intizar ka faeda mere yar 'bedil-e-haidari’
tujhe chhod kar jo chala gaya nahin aaega nahin aaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close