betab hun bebak hun is se bhi siwa hun

betab hun bebak hun is se bhi siwa hun
khaki hun magar kaun si mitti ka bana hun

aaya hai agar waqt to suli pe chadha hun
injil-e-mohabbat ka main kirdar raha hun

main dajla-e-kohsar hun sailab-numa hun
sarkash hun magar unchi chatanon mein ghira hun

auraq-e-dabistan mein ye sarsabz manazir
pazhmurda kitabon mein kise dekh raha hun

main aaj bhi hun lala-e-firdaus-e-ma'ani
lekin ye musibat hai ki sahra mein khila hun

palta hun to khulne lage mazi ke dariche
manzil ne qadam mere liye hain jo badha hun

un ko bhi hai shiddat se mulaqat ki khwahish
ek 'umr se har samt jinhen dhund raha hun

hassas bala ka hun magar waqt-e-tahammul
ma'lum ye hota hai ki patthar ka bana hun

yaad aai to mahsus hua jaise koi chiz
rakh di hai kisi taq pe aur bhul gaya hun

mujh se hi 'ibarat hai ye sar-garmi-e-'alam
main sina-e-geti ke dhadakne ki sada hun

andaz-e-sukhan lakh badalta rahe 'mahir'
har haal mein sha'ir hun mohabbat ki sada hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close