diwane ki baaten sun kar chaunk pade farzane log muddat mein pahchane lekin phir bhi kya pahchane log roz-o-shab talkhaba-e-hasti sham-o-sahar khunaba-e-gham amrit kah kar pi lete hain zahr-bhare paimane log dil ka ye viran khandar phir shahr-e-tarab ban jaega kitne sundar sapne dekha karte hain diwane log ab wo aankh kahan hai jis par hoti thi takhliq ghazal khwab huin wo baaten jin par likhte the afsane log wo bachpan ke sangi-sathi wo bhi fasurda hum bhi udas yun milte hain rasta chalte jaise hon begane log ek nazar mahaul pe dalen 'mahir' hum phir ghaur karen muddat se sanjida kyon hain aakhir ye diwane log