betabiyon mein tang hum aae hain jaan se waqt-e-shakeb khush ki gaya darmiyan se dagh-e-faraq-o-hasrat-e-wasl aarzu-e-did kya kya liye gae tere aashiq jahan se hum hamushon ka zikr tha shab us ki bazm mein nikla na harf-e-khair kasu ki zaban se aab-e-khizar se bhi na gai sozish-e-jigar kya jaaniye ye aag hai kis dudman se juz ishq jang-e-dahr se mat padh ki khush hain hum us qisse ki kitab mein us dastan se aane ka is chaman mein sabab bekali hui jun barq hum tadap ke gire aashiyan se ab chhed ye rakhi hai ki aashiq hai to kahen al-qissa khush guzarti hai us bad-guman se kine ki mere tujh se na chahega koi dad main kah marunga apne har ek mehrban se daghon se hai chaman jigar-e-'mir' dahr mein un ne bhi gul chune bahut us gulistan se