pankhudi koi gulistan se saba kya lai dur tak nikhat-e-gul khak udati aai uf wo begana nigahon ki karam-farmai fitrat-e-ishq ba-andaz-e-junun tharrai taza taza wo shikast-e-sukhan-e-ranai chup hue wo to tabassum ki jhalak si aai aakhir-e-shab wo sitaron ki sarakti hui chhanw main wahin baith gaya raat jahan lahrai jagi jagi hui palken wo ba-aghosh-e-jamal dil ko aaram ziyaada tha to kam nind aai waqt ne zarf-e-nazar ko lab-e-mai-khwar kiya tishnagi shishe ko paimana bana kar lai zindagi ek hujum-e-guzaran hai lekin aadmi apni jagah aalam-e-sad-tanhai apne hi shola-e-rangin se jala daman-e-gul apni hi shakh-e-tabassum pe kali murjhai manzil-e-aql junun rang use milti hai jis ne ek bar rah-e-ishq mein thokar khai patte patte ka nahin gulshan-e-alam mein jawab zarre zarre mein dhadakta hai dil-e-yaktai tutti si rag-e-dauran ye taraqqi ki thakan kisi mashuq-e-sahar-khez ki nim-angdai khak aur khun se ek shama jalai hai 'nushur' maut se hum ne bhi sikhi hai hayat-arai