bewafa ab na mohabbat ki duhai dunga zindagi bhar main tujhe zakhm-e-judai dunga jo mujhe jaisa samajhta hai samajhne dije apne bare mein kahan tak main safai dunga mere hisse mein bhi aaya hai bulandi ka safar aasman walon tumhein main bhi dikhai dunga bakhsh dega wo meri sari khataen fauran us ki rahmat ki use itni duhai dunga apne man-bap ko kandha bhi nahin de paya jo ye kahta tha unhen sari kamai dunga main safiran-e-mohabbat ki sada hun 'alam' mar bhi jaun to zamane ko sunai dunga