bayan ghairon se apna gham karen kya namak ko zakhm ka marham karen kya nae mausam ke khake hain nazar mein guzashta fasl ka matam karen kya utarta hi nahin hai us ka jadu batao khud pe padh kar dam karen kya use hum kis tarah dil se nikalen ye dil sunta nahin to hum karen kya hum us ki be-rukhi ka zikr kar ke use kuchh aur bhi barham karen kya hamein jabran hi jina pad raha hai bata ai gardish-e-paiham karen kya ghamon ki dhup mein jab jal chuke hain khushi ki chhanw ka 'alam' karen kya