bewafa main bhi sahi tujh mein wafa bhi to nahin

bewafa main bhi sahi tujh mein wafa bhi to nahin
zindagi tujh se magar mujh ko gila bhi to nahin

mujh se behtar koi mil jae tujhe mumkin hai
mujh ko tujh jaisa abhi koi mila bhi to nahin

kyon na bhatkun main ki sunsanon bhari wadi mein
jo ubhaare mujhe ab aisi sada bhi to nahin

jab ye ummid thi jo mangunga hoga maqbul
hath bhi uth na sake lab pe dua bhi to nahin

main bhi khamosh raha mujh ko hai ehsas magar
aur kahta bhi kya kuchh tum ne kaha bhi to nahin

ab parakh meri wafaon ki bhala kaise ho
ab wo paimana ho kya tujh mein jafa bhi to nahin

hum ko auron mein bahut aib nazar aata hai
jo thi is desh mein pahle wo faza bhi to nahin

kam nahin mard to aurat bhi kahan kuchh kam hai
is mein gar sharm nahin us mein haya bhi to nahin

tujh se ai dost mujhe aur ho ummid bhi kya
haq-shanasi ka wo ab daur raha bhi to nahin

ek muddat se tarasti hain nigahen us ko
chhod kar mujh ko magar dur gaya bhi to nahin

dhundhna bhi hai use umr ki had tak 'anwar'
aur dhundun bhi kahan koi pata bhi to nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close