na jaane kis ne palaT kar ye di sada mujhko

na jaane kis ne palat kar ye di sada mujh ko
sujhai deta nahin aage rasta mujh ko

main us ke bare mein sochun gharaz nahin lekin
wo dekhne mein to achchha-bhala laga mujh ko

sitam ki nag-phani das rahi thi tanhai
tere baghair akele mein dar laga mujh ko

usi ke lams ki khushbu basi hai sanson mein
ai kash wo bhi to apne mein dhundhta mujh ko

kisi bhi haal na chhute ye sabr ka daman
khuda-e-pak ata kar wo hausla mujh ko

wo jis ko jine ka main ne shuur bakhsha tha
dikha raha hai wahi shakhs aaina mujh ko

har ek samt qahr dha rahe hain ibn-e-yazid
lage hai hind bhi maidan-e-karbala mujh ko

main us ke waste sab kuchh nisar kar deta
agar wo pyar se 'arshad' pukarta mujh ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close