bewafai ka wo dastur hue baithe hain ishq mein hum hain ki bas chur hue baithe hain hum ne mana tha jinhen shams-o-qamar se badh kar waqt aaya to wo be-nur hue baithe hain dil ki dhadkan mein jinhen hum ne basa rakkha hai hum se wo dur bahut dur hue baithe hain ek nazar dekh le ai jaan-e-tamanna hum ko hum tere ishq mein masrur hue baithe hain wo na aae jo shab-e-wada to bheja hai payam khat mein likkha hai ki majbur hue baithe hain the jo sirat mein kabhi sadgi ka aaina aaina dekh ke maghrur hue baithe hain