tere dil mein samana chahta hun tujhe apna banana chahta hun teri aankhen hain ya koi samundar main in mein dub jaana chahta hun kabhi honton pe aa tu git ban kar main tujh ko gungunana chahta hun tere nazdik aana hai so pahle main khud se dur jaana chahta hun kabhi khwabon se mere ru-ba-ru aa tujhe dulhan banana chahta hun tu hai ki raat banna chahti hai main tujh ko din banana chahta hun tu apne dil ki galiyon ko saja le main in mein aana-jaana chahta hun jise mumkin nahin ho jod pana main itna tut jaana chahta hun mujhe tu ishq mein pagal bana de main thoda muskurana chahta hun ye kuchh tute diye hain pas mere inhen suraj banana chahta hun hasin ek sher hai 'rizwan' wo koi ghazal us ko banana chahta hun