bhagte suraj ko pichhe chhod kar jaenge hum sham ke hote hi wapas apne ghar jaenge hum katne ko ek shab thahre hain tere shahr mein kya bataen subh hogi to kidhar jaenge hum dhup mein phulon sa murjha bhi gae to kya hua shahr se honton ke paimane to bhar jaenge hum aaj gardun ki bulandi napne mein mahw hain kal kisi gahre samundar mein utar jaenge hum dhundte khoya hua chehra kisi shishe mein kyun jaante gar ye ki sae se bhi dar jaenge hum kuchh hamara haal bhi 'khawar' hai kundan ki tarah dukh ke shoalon mein jalenge to nikhar jaenge hum