qahr kaisa subh-dam baad-e-bahaari kar gai phul barsana the dil par shoala-bari kar gai tishna-e-takmil ek muddat se tha zauq-e-junun kaam kuchh to doston ki sang-bari kar gai jis qadar jhukte gae hote gae hum sar-buland rifaton se aashna ye khaksari kar gai hum gunahgaron ko rahmat ki kahan ummid thi mustahiq lekin hamari sharmsari kar gai har waraq diwan-e-dil ka naqsh-e-mani hai 'bahaar' nok-e-mizhgan dekhiye kya husn-kari kar gai