bhai KHuda ke bande jaanen dil ko jaise ram kiya

bhai khuda ke bande jaanen dil ko jaise ram kiya
apni badhai ho duniya par chaar chhe din jo kaam kiya

ek nishani si sahil par sari kahani chhod gai
dubti naw par us aakhiri mauj ne kya inam kiya

pyare dushman jiwan jogi aakhir tum bhi dekh hi loge
khud ko khair se kahte sunoge hum ne mazaq jo aam kiya

nam pata be-shak mat likkho pahunchega tum bas khat likkho
aur is had tak gumnami mein paida kis ne nam kiya

khushiyan gham jab hans ro baithe aakhir ko sab chup ho baithe
bujhta alaw unghte tare hum ne khub kalam kiya

kuchh mauzun na-mauzun karta ya yun karta to kyon karta
lekin khali batri ne bharwan banduq ka kaam kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close