bhala chahega koi kya kisi ka ho dushman aadmi jab aadmi ka jafa-kari hai zinda aap hi se jafa-kari hai shewa ap hi ka mera shewa hai ikhlas-o-mohabbat bura chahunga main kyon kar kisi ka khuda ka shukr hai us bewafa ne sabab puchha hai meri khamushi ka tere dil mein bhi ho dard-e-mohabbat tera dil kash ho jae kisi ka dilon mein hasrat-e-takhrib pinhan labon pe zikr sulh-o-ashti ka yahi mearaj hai khud-agahi ki na todo dil zamane mein kisi ka wahi dushman hue hain aaj 'asi' jo dam bharte the kal tak dosti ka