bhala ghamon se kahan haar jaane wale the hum aansuon ki tarah muskurane wale the hamin ne kar diya elan-e-gumrahi warna hamare pichhe bahut log aane wale the unhen to khak mein milna hi tha ki mere the ye ashk kaun se unche gharane wale the unhen qarib na hone diya kabhi main ne jo dosti mein haden bhul jaane wale the main jin ko jaan ke pahchan bhi nahin sakta kuchh aise log mera ghar jalane wale the hamara alamiya ye tha ki ham-safar bhi hamein wahi mile jo bahut yaad aane wale the 'wasim' kaisi talluq ki rah thi jis mein wahi mile jo bahut dil dukhane wale the