khushiyan yaad nahin hain aur gham yaad nahin kaisa hamdam hai jis ko hum yaad nahin ek arse se bhula hua hun main us ko huin thin meri aankhen kab nam yaad nahin hum to azal se tanha the so tanha hain gham wo mile hain khushi ka aalam yaad nahin jis mein phul khila karte hain ulfat ke kya tum ko wo pyar ka mausam yaad nahin kaise junun ne ghera dala gird mere jo tum ne apnae wo gham yaad nahin is andaze se ujda ye bagh 'waqas' jis dam mein tha dam ab wo dam yaad nahin