bhala ho jis kaam mein kisi ka to us mein waqfa na kijiyega khayal-e-zahmat na kijiyega malal-e-iza na kijiyega wo mujh se farma rahe hain hans kar hamesha milne ki aarzu par malal hoga muhaal shai ki kabhi tamanna na kijiyega habab hai zindagi ka naqsha kahan ka din mah-o-sal kaisa hawa hai ye dam ka kya bharosa ummid-e-farda na kijiyega kiya to hai ishq hazrat-e-dil liya hai sar par ye bar-e-mushkil hua agar muddaa na hasil to raaz ifsha na kijiyega jo aap aaen pae ayaadat yaqin hai ho jae mujh ko sehat magar bara-e-khuda ye zahmat kabhi gawara na kijiyega jo ahl-e-duniya ke the mukhalif hue wo duniya ke aur na din ke samajhiye ab khatma hai din ka jo fikr-e-duniya na kijiyega ye qaeda rasm-o-rah ka hai khayal donon taraf ho yaksan kisi ko parwa na hogi jis dam kisi ki parwa na kijiyega talluq ahl-e-jahan se ho gar to rakhiye bim-o-raja barabar siwa khuda ke kisi ke upar kabhi bharosa na kijiyega aziz hai jauhar-e-amanat kisi se ulfat ho ya adawat agar hai kuchh ghairat-e-sharafat to raaz ifsha na kijiyega bayan ki ehtiyaj hai kab raha hai sirf ek harf-e-matlab 'habib' ka dard-e-dil suna sab ab is ka chaara na kijiyega