ye bhi nahin ummid ki bedad karoge tum aise kahan ho ki mujhe yaad karoge kya mere liye ghair ko nashad karoge tum yun bhi sitam dhaoge bedad karoge do-chaar ghadi aur hai duniya mein basera ab zulm karoge agar aazad karoge ye hijr na jaane mujhe kya waqt dikhae aur tum kisi bad-bakht ko kyon yaad karoge taqdir ke mare ko satana nahin achchha barbaad ko tum aur kya barbaad karoge main khub samajhta hun tumhaari ye shararat nashad karoge tum agar shad karoge tum ja to rahe ho magar itna to bata do taqdir ke mare ko kabhi yaad karoge tasir se khali nahin 'bismil' ka tadapna ye yaad rahe tum ko ki tum yaad karoge