bhala ho us ka jo raste mein mujhko Dal gaya

bhala ho us ka jo raste mein mujh ko dal gaya
zamana sang samajh kar mujhe uchhaal gaya

shajar bhi zor se jis ke zamin-bos hue
wahi to jhonka hawa ka mujhe sanbhaal gaya

tadap rahi hai nazar aaj bhi usi ke liye
wo ek jalwa jo dil ko mere ujal gaya

mere tadapne pe us ko mazaq sujha tha
hansi hansi mein har ek baat meri tal gaya

shikayaten thin faqat un ke dur rahne tak
wo pas aae to dil se har ek malal gaya

meri tabahi pe sab ki lagi rahin nazren
kisi ka bhi na tumhaari taraf khayal gaya

taghayyuraat ne sab kuchh badal diya 'arif'
zamana ek nae sanche mein hum ko dhaal gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close