aadab-e-junun ahl-e-nazar bhul gae hain

aadab-e-junun ahl-e-nazar bhul gae hain
jite to hain jine ka hunar bhul gae hain

kya ahl-e-safar zauq-e-safar bhul gae hain
raste mein hain manzil ki khabar bhul gae hain

gham bhul gae gham ka asar bhul gae hain
tum kya mile hum khud ko magar bhul gae hain

hijrat ke azabon mein basar aisi hui hai
ek umr se hum apna nagar bhul gae hain

duniya ke gham apnon ke sitam waqt ke tewar
kya kya na mere dida-e-tar bhul gae hain

tufan pe hi rakhte hain nazar ahl-e-zamana
maujon ki siyasat ko magar bhul gae hain

wo garmi-e-haalat na zehnon mein wo halchal
kya hadse aana hi idhar bhul gae hain

kya baat thi qatil se jo mansub hui thi
maqtal mein jhukae hue sar bhul gae hain

gulshan ki fazaon mein ghutan aa gai kitni
hansne ki ada tak gul-e-tar bhul gae hain

jo dal rahe the kabhi suraj pe kamanden
wo log ujalon ka safar bhul gae hain

aaghaz-e-safar apna kiya hum ne jahan se
hum rakh ke wahin zad-e-safar bhul gae hain

tum agli sharafat ka sabaq phir se padhana
is daur ke insan agar bhul gae hain

'arif' main gila kis se karun be-asari ka
talea hi mere bab-e-asar bhul gae hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close