bhala kab tak koi tanha rahega kahan tak ye nagar suna rahega shab-e-furqat to kat jaegi lekin tumhaare jaur ka charcha rahega hamein tark-e-talluq bhi gawara zamana kab magar chipka rahega jahan bhi nam aaega tumhaara yaqinan tazkira mera rahega junun-e-ishq ki waraftagi par subuk-sar muddaton sahra rahega