bujhi hai aag magar is qadar ziyaada nahin dobara milne ka imkan hai irada nahin kiya hai waqt ne yun tar tar pairahan barahnagi ke siwa jism par labaada nahin tera khayal hai tanhaiyan hain aur main hun mere nasib mein ab wasl ka iada nahin mila bhi wo to kahan us ka nam likkhenge kitab-e-zist ka koi waraq bhi sada nahin na zat mein koi manzil na kaenat mein hai safar karun to kahan koi mera jada nahin hawa ke sath hi shayad badal gai duniya ki jam jam nahin aur baada baada nahin khud apne sae mein hi baithna pada 'nasir' koi shajar mere raste mein istada nahin