bhanwar banti hui raaten hamari kinare par munajaten hamari nai duniya mein kis ne puchhna hai kahan nisbat hai kya zaten hamari kabhi hum waqt se aage bhi the jab hamein azbar thin auqaten hamari barasne ki lagan mein bhul baithe hain kin khaton pe barsaten hamari zamane se zamana kar raha hai kabhi hum se kare baaten hamari shikari bhi hami hum hi nishana badi pur-pech hain ghaten hamari salakhen chumne aate hain sare yahin tak hain mulaqaten hamari