daera sa ajib tha ghar mein

daera sa ajib tha ghar mein
ghum jati rahi sada ghar mein

ek mein tha khuda ka kuchh saman
dusra taq tha mera ghar mein

kuchh kitaben hain aur kuchh yaaden
in charaghon se hai ziya ghar mein

ghar ne wo din bhi dekh rakkhe hain
kuchh nahin tha mere siwa ghar mein

us ko manzil bhi hum samajhte hain
aa raha ho jo rasta ghar mein

jab bujhai koi lagi hum ne
har taraf se dhuan utha ghar mein

umr bhar khud ko zer-e-pa rakkha
aaina tha bichha hua ghar mein

bag mein us ne bhar liye wade
ek main ne bhi rakh liya ghar mein

jis ki khatir ye dil utha ghar se
us ne phir la ke rakh diya ghar mein

bhaiyon mein fasad lazim tha
takht tha aur taj tha ghar mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close