bhanwar kashti dubota hai samundar kuchh nahin kahta wo hone deta hai sab kuchh muqaddar kuchh nahin kahta labon ko maslahat se band hi rakhta hai ye zalim udhar jalte hain ghar aur mera rahbar kuchh nahin kahta gadagar chaar paise pa ke uncha bolta hai ab zar-o-dinar rakh kar bhi tawangar kuchh nahin kahta samar tak hath na pahunche to bauna khub rota hai phalon ka dan karta hai qad-awar kuchh nahin kahta hatheli bolti hai ya bata deti hai peshani sitare bolte hain sab muqaddar kuchh nahin kahta 'nasim' ek moajiza hai serwer-e-alam ka duniya mein ali lete hue hain aur bistar kuchh nahin kahta